Sunday, September 18, 2011

aaj hum har taraf sunte hai ki esko pyar ho gaya, woh pyar mein hai...magar humein ye pata nahin ko pyar hai kya

pyar ek paak lafj hai,esmein shaamil har majhub hai
pyar mein khuda ki parchaai hai, isliye toh esmein itni sachai hai
pyar ko khuda ne dil mein basaya,kyunki dil ke alawa ese koi samaj na paya
pyar dosti hai, pyar mamta hai,yahan har shaks esko janta hai

kisi aur ke liye jeena sikha deta hai pyar
kisi ki ek muskurahat ke liye,duniya se ladna sikha deta hai pyar
pyar se mat darr mere dost, hai toh izhar kar
apne pyar ko har haal mein haasil kar,warna dil mein ghaav bana deta hai ye pyar
ye sauda hai ek premi ka khudase, ki kabhi uske pyar ko kabhi koi aanch na aaye.uske liye usne khuda se karz liya aur apni jindagi khuda ke paas geervi rakh diya

tu sada khush rahe , ye mangi hai dua
tere muquadar ke ashq,khud meine apni kismat mein likh liya

teri khushi ke liye usne maangi mujhse keemat
meine apni jindagi khuda ke kadmon mein geervi rakh diya

es karz ke liye chahe woh kitna bhi bayaz le
magar bhool se bhi na kabhi tujhe aanch de

agar aayi tujhe aanch, tab taandav mein sawarg mein machaunga
kya hota hai pyaar aur pyaar mein zakhmi dil , khuda ko mein dikhlaunga

Friday, May 14, 2010

Milne ke bahaane aur bhi hai

Theme :- ek din mujhe usse milna tha, magar usne kaha....shitij pls nai mil sakte " gharwaale saath mein hai".......agle din jab meine pucha aaj milte hai plsss..toh usne kaha nai " I am going out with my friends "........magar dil to dil hai

ek din maheuus sa betha tha kahin
dekha jo Suraj,Hawa aur Badal ko
toh guzarish kar de wahi

Ae suraj,apni roshni banade mujhe
sabke saamne usse chuunga
koi bhi na, rok sakega mujhe

Phir mila Hawa se

Ae hawa, apni mehfil mein
Shaamil kar le mujhe
duniya ke saamne
uske julpho se khelunga
koi bhi na, rok sakega mujhe

Dil ha toh tamanna toh hogi

Badal ko kaha,baarish ki boonde
banade mujhe
uske laato mein teher ke,
uske hoonto ko chukar
uske shfaak badan se milake
zameen se mila de mujhe

Regards
Shitij 14.05.2010 09920027372

Thursday, May 13, 2010

Kaash kabhi esa ho

Theme :- aaj agar koi mujse pyar na bhi kare,aaj agar koi apne dil mein jagah na bhi de.............agar mein usske dil se dosti karlu, woh kitna bhi manna kare meine uske dil ki dhadkan ban hee jaungaa....agar mein usske sapno se dosti karlu...woh kita bhi manna kare uske needo mein toh aaunga he

kaash kabhi esa ho ki
sapna ban jaun,
soye rahe tu, tere neendo mein aaun
bethu teri palko mein, phir tere sang
soo jaaun

kaash kabhi esa ho ki
dhadkan ban jaun
jab jab dhadke tera dil
tujko nazar aaun
bethe tu akele kahin
chup ke se,tujko chuu jaaun

kaash kabhi esa ho ki
teri saanse ban jaun
khuda agar rokne chahe
kabhi teri saanse
apni saanse tujhe deke
khud fanna ho jaun.

Shitij 14.05.2010 09920027372

Monday, May 10, 2010

Pyaar

Hum jab us shaqs se milte hai, tab pata nai hota....woh pyar hai ki nai

Pyar hota hai kya
mujko toh na pata
mere liye pyar tu
tu he zindagii,aarzoo

Pyar hota hai kya

Subhah ki thandi hawa
kehde tujse zara
meri yaado mein toh sirf
tu hee behta chala

Pyar hota hai kya 2

Meine badlo se kaha
kahan hai tera pata
baadlo, ne kaha
tu mere dil mein basa

Meri dhadkan mein tuu
saanse mein jeevan hai tu
tere bina mein kese jeeu
mujhe itna kehde na tu

Regards,
Shitij
09920027372 11.05.2010

Rooh

aaj agar mein apne pyaar se nai mil sakta, toh bus esliye kyunki mein es shareer mein hun....aaj agar mein sirf ek saya hota toh har waqt uske saath he rehta......



Kaash mein ,mein nai
ek rooh hota
toh shayad tujhse itna durr nai
tere ru ba ru hota

tujhmein samaata,tujse bahar aata
tujhmein samaata,tujse bahar aata
es khel khel mein ,
kum se kum tere kareeb toh aata

Kaash mein ek rooh hota

Na bandish koi,na koi pehra hota
kabhi teri yadeein hoti,
kabhi meri nigahoon ke saamne
tera chehra hota

Kaash mein ek rooh hota

Na kauff kisika,na logo ke taane
mein bekauff hoke milta tujhse
bina kisi bahane

Kaash mein ek rooh hota

Shitij 11.05.2010